Sab se chipakar dard wo jo muskra diya
Sab se chipakar dard wo jo muskra diya
Uski hansi ne aaj to mujhe rula diya.
Lahje se uth raha tha har ek dard ka dhunwa.
chehra bata raha tha ki kuch ganwa diya.
Awaaj me thahrao tha, ankho me nami thi.
Aur kah raha tha ki maine sab bhula diya.
Jaane kya thi logo se use sikaytee
Tanhaayeeo ke desh me khud ko basa diya.
Khud bhi wo hamse bichar kar adhura sa ho gaya,
Mujhko bhi itne logo me tanha bana diya.
Sab se chipakar dard wo jo muskra diya
Uski hansi ne aaj to mujhe rula diya.
shayri ki maa ka pati

No comments:
Post a Comment